abr ki oT se chhalka hai udhar dhup ka rang
abr kī oT se chhalkā hai udhar dhuup kā rang
hai sukūñ-baḳhsh bahut vaqt-e-sahar dhuup kā rang
vādiyāñ jhīleñ hoñ parbat hoñ ki hoñ dasht-o-daman
kitne lagte haiñ hasīñ chamke agar dhuup kā rang
anjuman shab kī uThī nūr-e-sahar aate hī
oḌhne lag ga.e gulshan meñ shajar dhuup kā rang
shab kī tārīkī meñ so.e the jo thak kar taa.ir
tāza-dam ho ga.e jab aayā nazar dhuup kā rang
vaqt zindāñ ke añdheroñ meñ guzārā jis ne
us ke hujre meñ kare kaash guzar dhuup kā rang
'nāzlī' pahn liyā dhartī ne zardoz libās
jab ufuq se huā firdaus-e-nazar dhuup kā rang
abr ki oT se chhalka hai udhar dhup ka rang
hai sukun-baKHsh bahut waqt-e-sahar dhup ka rang
wadiyan jhilen hon parbat hon ki hon dasht-o-daman
kitne lagte hain hasin chamke agar dhup ka rang
anjuman shab ki uThi nur-e-sahar aate hi
oDhne lag gae gulshan mein shajar dhup ka rang
shab ki tariki mein soe the jo thak kar tair
taza-dam ho gae jab aaya nazar dhup ka rang
waqt zindan ke andheron mein guzara jis ne
us ke hujre mein kare kash guzar dhup ka rang
'nazli' pahn liya dharti ne zardoz libas
jab ufuq se hua firdaus-e-nazar dhup ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.