abr ne chand ki hifazat ki
abr ne chāñd kī hifāzat kī
chāñd ne ḳhud bhī ḳhuub himmat kī
aaj dariyā bahut udaas lagā
ek katre ne phir baġhāvat kī
vo parinda havā ko chheḌ gayā
us ne kyā ḳhuub ye himāqat kī
vaqt munsif hai faisla degā
ab zarūrat bhī kyā adālat kī
dhuup kā dam nikal gayā āḳhir
chhāñv hone lagī hai shiddat kī
abr ne chand ki hifazat ki
chand ne KHud bhi KHub himmat ki
aaj dariya bahut udas laga
ek katre ne phir baghawat ki
wo parinda hawa ko chheD gaya
us ne kya KHub ye himaqat ki
waqt munsif hai faisla dega
ab zarurat bhi kya adalat ki
dhup ka dam nikal gaya aaKHir
chhanw hone lagi hai shiddat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.