abr uTTha hai gire qatra-e-baran sir par
abr uTThā hai gire qatra-e-bārāñ sir par
guyyāñ hushiyār ki hai aish kā sāmāñ sar par
karte kyā kyā nahīñ vo ranj ke sāmāñ sar par
rakhte lā lā haiñ buā roz muġhal jaañ sar par
ab na jā.eñge chhināloñ kī galī meñ mirzā
qasmeñ khāte haiñ buā rakhte haiñ qur.āñ sar par
hasrat-e-dīd hai jaañ tan se na niklegī buā
kyoñ farishte haiñ liye maut kā chālāñ sar par
bigḌe tevar haiñ ulajhte haiñ ḳhafā hote haiñ
shaiḳh jī ke hai buā aaj bhī shaitāñ sar par
saath ranDī ke chale mirzā jī kis shaan ke saath
dahnā baġhloñ meñ dabā.e hue bāyāñ sar par
chuTkiyāñ saaf kahe detī haiñ dil kī ham se
pīr-o-murshid hai vahī aaj bhī shaitāñ sar par
ab farangī haiñ buā taḳht pe ham bāj-guzār
kabhī rakhte the yahāñ taaj musalmāñ sar par
abr uTTha hai gire qatra-e-baran sir par
guyyan hushiyar ki hai aish ka saman sar par
karte kya kya nahin wo ranj ke saman sar par
rakhte la la hain bua roz mughal jaan sar par
ab na jaenge chhinalon ki gali mein mirza
qasmen khate hain bua rakhte hain quran sar par
hasrat-e-did hai jaan tan se na niklegi bua
kyon farishte hain liye maut ka chaalan sar par
bigDe tewar hain ulajhte hain KHafa hote hain
shaiKH ji ke hai bua aaj bhi shaitan sar par
sath ranDi ke chale mirza ji kis shan ke sath
dahna baghlon mein dabae hue bayan sar par
chuTkiyan saf kahe deti hain dil ki hum se
pir-o-murshid hai wahi aaj bhi shaitan sar par
ab farangi hain bua taKHt pe hum baj-guzar
kabhi rakhte the yahan taj musalman sar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.