abr uTTha to subu yaad aaya
abr uTThā to subū yaad aayā
husn kā rañg-e-numū yaad aayā
koī manzil mirī manzil na huī
dil ko har-gām pe tū yaad aayā
chashm-e-sāqī kā ishāra pā kar
riñd ko nāra-e-hū yaad aayā
abr uTThā to tamannā jaagī
dil ko shaġhl-e-lab-e-jū yaad aayā
apnī ḳhush-kāmī pe ik aah ke saath
baḳht-e-nākām 'adū yaad aayā
dekh kar mast ghaTā.eñ 'maz.har'
apnā dil apnā lahū yaad aayā
abr uTTha to subu yaad aaya
husn ka rang-e-numu yaad aaya
koi manzil meri manzil na hui
dil ko har-gam pe tu yaad aaya
chashm-e-saqi ka ishaara pa kar
rind ko nara-e-hu yaad aaya
abr uTTha to tamanna jagi
dil ko shaghl-e-lab-e-ju yaad aaya
apni KHush-kaami pe ek aah ke sath
baKHt-e-nakaam 'adu yaad aaya
dekh kar mast ghaTaen 'mazhar'
apna dil apna lahu yaad aaya
- Book : Khamyazah (Pg. 112)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.