abru-e-abr se karta hai ishaara mujhko
abrū-e-abr se kartā hai ishāra mujh ko
jhalak us aañkh kī dikhlā ke sitāra mujh ko
huuñ maiñ vo sham.a sar-e-tāq jalā kar sar-e-shām
bhuul jaatā hai mirā anjuman-ārā mujh ko
rā.egāñ vus.at-e-vīrāñ meñ ye khilte hue phuul
un ko dekhūñ to ye dete haiñ sahārā mujh ko
merī hastī hai faqat mauj-e-havā naqsh-e-habāb
koī dam aur kareñ aap gavārā mujh ko
daam phailātī rahī sūd-o-ziyāñ kī ye bisāt
haañ magar mere junūñ ne nahīñ haarā mujh ko
kuchh shab-o-roz-o-mah-o-sāl guzar kar mujh par
vaqt ne tā-ba-abad ḳhud pe guzārā mujh ko
mauj-e-be-tāb huuñ maiñ mere anāsir haiñ kuchh aur
chāhiye sohbat-e-sāhil se kinārā mujh ko
rizq se mere mire dil ko hai ranjish 'ḳhurshīd'
āsmānoñ se zamīnoñ pe utārā mujh ko
abru-e-abr se karta hai ishaara mujh ko
jhalak us aankh ki dikhla ke sitara mujh ko
hun main wo shama sar-e-taq jala kar sar-e-sham
bhul jata hai mera anjuman-ara mujh ko
raegan wusat-e-viran mein ye khilte hue phul
un ko dekhun to ye dete hain sahaara mujh ko
meri hasti hai faqat mauj-e-hawa naqsh-e-habab
koi dam aur karen aap gawara mujh ko
dam phailati rahi sud-o-ziyan ki ye bisat
han magar mere junun ne nahin haara mujh ko
kuchh shab-o-roz-o-mah-o-sal guzar kar mujh par
waqt ne ta-ba-abad KHud pe guzara mujh ko
mauj-e-be-tab hun main mere anasir hain kuchh aur
chahiye sohbat-e-sahil se kinara mujh ko
rizq se mere mere dil ko hai ranjish 'KHurshid'
aasmanon se zaminon pe utara mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.