achanak aise jal-thal ho gae kyun
achānak aise jal-thal ho ga.e kyuuñ
ki sahrā saare jañgal ho ga.e kyuuñ
qadam is tarah se shal ho ga.e kyuuñ
sahāre itne bojhal ho ga.e kyuuñ
nahīñ taḳhfīf in meñ ik zarā sī
ye ġham itne musalsal ho ga.e kyuuñ
tirī qurbat ke vo saare zamāne
simaT kar ek hī pal ho ga.e kyuuñ
unheñ itne dinoñ ke baa'd dekhā
ḳhushī meñ phir ye be-kal ho ga.e kyuuñ
achanak aise jal-thal ho gae kyun
ki sahra sare jangal ho gae kyun
qadam is tarah se shal ho gae kyun
sahaare itne bojhal ho gae kyun
nahin taKHfif in mein ek zara si
ye gham itne musalsal ho gae kyun
teri qurbat ke wo sare zamane
simaT kar ek hi pal ho gae kyun
unhen itne dinon ke ba'd dekha
KHushi mein phir ye be-kal ho gae kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.