achanak kisi ne jo chilman uTha di
achānak kisī ne jo chilman uThā dī
qayāmat se pahle qayāmat bulā dī
kahīñ māh-ruḳh se uThā jvār-bhāTā
kahīñ teġh-e-abrū ne aafat machā dī
kahīñ par taġhāful kahīñ par tabassum
kisī kī bigāḌī kisī kī banā dī
kisī ke bayābāñ ko gulshan banāyā
kisī ke gulistāñ pe bijlī girā dī
nigāhoñ meñ us kī basā.ī thī duniyā
badal kar nazar us ne duniyā miTā dī
jo dekhā mohabbat se zaḳhm-e-jigar ko
hare ghaav meñ ek barchhī chubhā dī
achanak kisi ne jo chilman uTha di
qayamat se pahle qayamat bula di
kahin mah-ruKH se uTha jwar-bhaTa
kahin tegh-e-abru ne aafat macha di
kahin par taghaful kahin par tabassum
kisi ki bigaDi kisi ki bana di
kisi ke bayaban ko gulshan banaya
kisi ke gulistan pe bijli gira di
nigahon mein us ki basai thi duniya
badal kar nazar us ne duniya miTa di
jo dekha mohabbat se zaKHm-e-jigar ko
hare ghaw mein ek barchhi chubha di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.