achanak samne wo aa gaya to
achānak sāmne vo aa gayā to
palaT de merā har ik faisla to
musalsal āzmāte jā rahe ho
agar niklā kabhī vo bevafā to
jalā kartī hai jis ke saath shab bhī
vo taarā jalte jalte bujh gayā to
falak kī be-ruḳhī se tañg aa kar
zamīñ ne kar liyā kuchh faisla to
mirā saaya jo mujh se kho gayā thā
kisī din raah chalte mil gayā to
havā se baat kartī titliyoñ ko
koī ik tez jhoñkā le uḌā to
'sabā' dariyā kā dil bhī jhuum uTThā
kisī kā naam paanī par likhā to
achanak samne wo aa gaya to
palaT de mera har ek faisla to
musalsal aazmate ja rahe ho
agar nikla kabhi wo bewafa to
jala karti hai jis ke sath shab bhi
wo tara jalte jalte bujh gaya to
falak ki be-ruKHi se tang aa kar
zamin ne kar liya kuchh faisla to
mera saya jo mujh se kho gaya tha
kisi din rah chalte mil gaya to
hawa se baat karti titliyon ko
koi ek tez jhonka le uDa to
'saba' dariya ka dil bhi jhum uTTha
kisi ka nam pani par likha to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.