achanak sare manzar bol uTThe
achānak saare manzar bol uTThe
hañsī gūñjī to patthar bol uTThe
paḌhā jaise hī maiñ ne ishq-nāma
sabhī jānib se ḳhanjar bol uTThe
vahī suunī saḌak thī aur maiñ thā
tirī yādoñ ke lashkar bol uTThe
zabāneñ band hoñgī shahr-bhar kī
kisī din gar samundar bol uTThe
maiñ jin ke hijr meñ sar dhun rahā thā
vo ik din mere andar bol uTThe
achanak sare manzar bol uTThe
hansi gunji to patthar bol uTThe
paDha jaise hi main ne ishq-nama
sabhi jaanib se KHanjar bol uTThe
wahi suni saDak thi aur main tha
teri yaadon ke lashkar bol uTThe
zabanen band hongi shahr-bhar ki
kisi din gar samundar bol uTThe
main jin ke hijr mein sar dhun raha tha
wo ek din mere andar bol uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.