achambha hoga us se ru-baru Takraega aadam
achambhā hogā us se rū-barū Takrā.egā aadam
achānak se dar-e-jā-e-ḳhudā khaḌkā.egā aadam
sadā-e-haq hai dil-ārā tumhāre naam kā nā'ra
tumhārā naam le le kar rihā.ī pā.egā aadam
hameñ banñā paḌegā alien varna mire pyāre
tujhe bhī khā.egā aadam mujhe bhī khā.egā aadam
ḳhudā-e-'adl kā qānūn to dekho zarā 'jānif'
kahāñ se aayā hai aadam kahāñ par jā.egā aadam
kisī din irtiqā.ī silsila us had pe jā.egā
bhaḌakte shams par apnī ghaTā barsā.egā aadam
achambha hoga us se ru-baru Takraega aadam
achanak se dar-e-ja-e-KHuda khaDkaega aadam
sada-e-haq hai dil-ara tumhaare nam ka na'ra
tumhaara nam le le kar rihai paega aadam
hamein banna paDega alien warna mere pyare
tujhe bhi khaega aadam mujhe bhi khaega aadam
KHuda-e-'adl ka qanun to dekho zara 'jaanif'
kahan se aaya hai aadam kahan par jaega aadam
kisi din irtiqai silsila us had pe jaega
bhaDakte shams par apni ghaTa barsaega aadam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.