achchha hai kya KHayal bhi un ke KHayal ka
achchhā hai kyā ḳhayāl bhī un ke ḳhayāl kā
bā'is vahī raheñ mire jī ke vabāl kā
jo haiñ asīr-e-hākim-o-shah un kī ḳhair ho
maiñ to asiir ho gayā zulfoñ ke jaal kā
achchhī nahīñ ye qurbateñ mujh se mire huzūr
kahte haiñ mujh ko dekhiye shā'ir malāl kā
'sā.in' kā haal pūchheñ to kahnā faqat yahī
sadqa utaar lījiye apne ḳhayāl kā
achchha hai kya KHayal bhi un ke KHayal ka
ba'is wahi rahen mere ji ke wabaal ka
jo hain asir-e-hakim-o-shah un ki KHair ho
main to asir ho gaya zulfon ke jal ka
achchhi nahin ye qurbaten mujh se mere huzur
kahte hain mujh ko dekhiye sha'ir malal ka
'sain' ka haal puchhen to kahna faqat yahi
sadqa utar lijiye apne KHayal ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.