achchha-KHasa hisab hun main bhi
achchhā-ḳhāsā hisāb huuñ maiñ bhī
dushmanī kā javāb huuñ maiñ bhī
mere andar hai ik jahāñ dekho
fikr-o-fan kī kitāb huuñ maiñ bhī
mujh se baaqī hai raunaq-e-gulshan
ik mahaktā gulāb huuñ maiñ bhī
ek tū hī nahīñ zamāne meñ
tujh sā ḳhāna-ḳharāb huuñ maiñ bhī
sub.h hote hī ḳhatm ho jaa.e
aisī shabnam kā ḳhvāb huuñ maiñ bhī
nāqido ik nazar idhar bhī ho
daur-e-hāzir kā baab huuñ maiñ bhī
ik ta.āruf 'nazar' hai itnā sā
shā.er-e-inqalāb huuñ maiñ bhī
achchha-KHasa hisab hun main bhi
dushmani ka jawab hun main bhi
mere andar hai ek jahan dekho
fikr-o-fan ki kitab hun main bhi
mujh se baqi hai raunaq-e-gulshan
ek mahakta gulab hun main bhi
ek tu hi nahin zamane mein
tujh sa KHana-KHarab hun main bhi
subh hote hi KHatm ho jae
aisi shabnam ka KHwab hun main bhi
naqido ek nazar idhar bhi ho
daur-e-hazir ka bab hun main bhi
ek taaruf 'nazar' hai itna sa
shaer-e-inqalab hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.