achchha kiya tha tumne jhaTak kar hamara hath
achchhā kiyā thā tum ne jhaTak kar hamārā haath
varna pakaḌtā kaun lapak kar hamārā haath
us ne zarā sā haath pe kyā haath rakh diyā
siine meñ aa gayā thā dhaḌak kar hamārā haath
mahfil meñ aur bhī the ka.ī āshnā magar
pakḌā thā aap hī ne sisak kar hamārā haath
jis haath ko hamārī hī qīmat nahīñ patā
us haath meñ gayā hai bhaTak kar hamārā haath
us gul-badan ke lams kā hai ye kamāl ki
guldān ho gayā hai mahak kar hamārā haath
achchha kiya tha tum ne jhaTak kar hamara hath
warna pakaDta kaun lapak kar hamara hath
us ne zara sa hath pe kya hath rakh diya
sine mein aa gaya tha dhaDak kar hamara hath
mahfil mein aur bhi the kai aashna magar
pakDa tha aap hi ne sisak kar hamara hath
jis hath ko hamari hi qimat nahin pata
us hath mein gaya hai bhaTak kar hamara hath
us gul-badan ke lams ka hai ye kamal ki
guldan ho gaya hai mahak kar hamara hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.