achchha mera KHayal hai tum kyon chale gae
achchhā mirā ḳhayāl hai tum kyoñ chale ga.e
ab tak mujhe malāl hai tum kyoñ chale ga.e
shikva na thā na koī shikāyat thī mujh se jab
phir tum se ye savāl hai tum kyoñ chale ga.e
mujh ko to Das rahī haiñ ye āyāt-e-vasl bhī
aur hijr bhī muhāl hai tum kyoñ chale ga.e
sochā na tum ne merā ki kaise tumhāre bin
mushkil ye sab vabāl hai tum kyoñ chale ga.e
tum to chale ga.e ho magar jānte ho tum
dukh se ye dil niDhāl hai tum kyoñ chale ga.e
tum to nahīñ ho maiñ huuñ fuġhāñ hai sukūt hai
aur vahshatoñ kā jaal hai tum kyoñ chale ga.e
uThtā hai mere dil meñ musalsal jo kuchh nahīñ
'hamza' vo bas savāl hai tum kyoñ chale ga.e
achchha mera KHayal hai tum kyon chale gae
ab tak mujhe malal hai tum kyon chale gae
shikwa na tha na koi shikayat thi mujh se jab
phir tum se ye sawal hai tum kyon chale gae
mujh ko to Das rahi hain ye aayat-e-wasl bhi
aur hijr bhi muhaal hai tum kyon chale gae
socha na tum ne mera ki kaise tumhaare bin
mushkil ye sab wabaal hai tum kyon chale gae
tum to chale gae ho magar jaante ho tum
dukh se ye dil niDhaal hai tum kyon chale gae
tum to nahin ho main hun fughan hai sukut hai
aur wahshaton ka jal hai tum kyon chale gae
uThta hai mere dil mein musalsal jo kuchh nahin
'hamza' wo bas sawal hai tum kyon chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.