achchhai se nata joD warna phir pachhtaega
achchhā.ī se naatā joḌ varna phir pachhtā.egā
ulTe-sīdhe dhande chhoḌ varna phir pachhtā.egā
mustaqbil kī tayyārī karne meñ hai hushyārī
vaqt se aage tū bhī dauḌ varna phir pachhtā.egā
dīvāreñ jo haa.il haiñ terī haar pe maa.il haiñ
dīvāroñ se sar mat phoḌ varna phir pachhtā.egā
daulat dene se izzat bachtī hai to kar himmat
sāmne rakh de ek karoḌ varna phir pachhtā.egā
ashk-e-nadāmat se dil kā bhīgā dāman hai achchhā
us dāman ko to na nichoḌ varna phir pachhtā.egā
jhūTī-sachchī kah kar jo tujh ko rusvā kartā ho
tū bhī us kā bhāñDā phoḌ varna phir pachhtā.egā
shāḳh pe rah ke pak jaa.eñ apne aap hī thak jaa.eñ
tū ye kachche phal mat toḌ varna phir pachhtā.egā
shaitānī panja kyā chiiz ek mujāhid tū hai 'azīz'
shaitānī panje ko maroḌ varna phir pachhtā.egā
achchhai se nata joD warna phir pachhtaega
ulTe-sidhe dhande chhoD warna phir pachhtaega
mustaqbil ki tayyari karne mein hai hushyari
waqt se aage tu bhi dauD warna phir pachhtaega
diwaren jo hail hain teri haar pe mail hain
diwaron se sar mat phoD warna phir pachhtaega
daulat dene se izzat bachti hai to kar himmat
samne rakh de ek karoD warna phir pachhtaega
ashk-e-nadamat se dil ka bhiga daman hai achchha
us daman ko to na nichoD warna phir pachhtaega
jhuTi-sachchi kah kar jo tujh ko ruswa karta ho
tu bhi us ka bhanDa phoD warna phir pachhtaega
shaKH pe rah ke pak jaen apne aap hi thak jaen
tu ye kachche phal mat toD warna phir pachhtaega
shaitani panja kya chiz ek mujahid tu hai 'aziz'
shaitani panje ko maroD warna phir pachhtaega
- Book : Bole Meri Gazal (Pg. 72)
- Author : Aziz Ansari
- Publication : Aziz Ansari, Station Director Akashvani Jalgaon (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.