achchhe dinon ki aas laga kar maine KHud ko roka hai
achchhe dinoñ kī aas lagā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
kaise kaise ḳhvāb dikhā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
maiñ ne ḳhud ko rokā hai jazbāt kī rau meñ bahne se
dil meñ sau armān dabā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
furqat ke mausam meñ kaise zinda huuñ tum kyā jaano
kaise is dil ko samjhā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
chhoḌ ke sab kuchh tum se milne aa jaanā dushvār nahīñ
mustaqbil kā ḳhauf dilā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
kaTte kahāñ haiñ hijr ke lamhe phir bhī ek zamāne se
terī yādoñ se bahlā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
vāpas jaane ke sab raste maiñ ne ḳhud masdūd kiye
kashtī aur patvār jalā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
jab bhī maiñ ne chāhā 'rāġhib' dushman par yalġhār karūñ
ḳhud ko apne sāmne pā kar maiñ ne ḳhud ko rokā hai
achchhe dinon ki aas laga kar main ne KHud ko roka hai
kaise kaise KHwab dikha kar main ne KHud ko roka hai
main ne KHud ko roka hai jazbaat ki rau mein bahne se
dil mein sau arman daba kar main ne KHud ko roka hai
furqat ke mausam mein kaise zinda hun tum kya jaano
kaise is dil ko samjha kar main ne KHud ko roka hai
chhoD ke sab kuchh tum se milne aa jaana dushwar nahin
mustaqbil ka KHauf dila kar main ne KHud ko roka hai
kaTte kahan hain hijr ke lamhe phir bhi ek zamane se
teri yaadon se bahla kar main ne KHud ko roka hai
wapas jaane ke sab raste main ne KHud masdud kiye
kashti aur patwar jala kar main ne KHud ko roka hai
jab bhi main ne chaha 'raghib' dushman par yalghaar karun
KHud ko apne samne pa kar main ne KHud ko roka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.