achchhe insan KHwab jaise hain
achchhe insān ḳhvāb jaise haiñ
ek achhūtī kitāb jaise haiñ
kahne diije mujhe ke maañ huuñ maiñ
mere bachche gulāb jaise haiñ
merī ḳhush-fahmiyoñ ke tāj-mahal
mere ahd-e-shabāb jaise haiñ
ai sabā dekh dil ke kūche meñ
kaun ḳhāna-ḳharāb jaise haiñ
sher-o-naġhma musavvirī show-biz
shauq saare sharāb jaise haiñ
jitne nākām haiñ mohabbat meñ
vo bhī sab kāmyāb jaise haiñ
ai 'vafā' chuum naunihāloñ ko
in ke chehre gulāb jaise haiñ
achchhe insan KHwab jaise hain
ek achhuti kitab jaise hain
kahne dije mujhe ke man hun main
mere bachche gulab jaise hain
meri KHush-fahmiyon ke taj-mahal
mere ahd-e-shabab jaise hain
ai saba dekh dil ke kuche mein
kaun KHana-KHarab jaise hain
sher-o-naghma musawwiri show-biz
shauq sare sharab jaise hain
jitne nakaam hain mohabbat mein
wo bhi sab kaamyab jaise hain
ai 'wafa' chum naunihaalon ko
in ke chehre gulab jaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.