achchhe lagoge aur bhi itna kiya karo
achchhe lagoge aur bhī itnā kiyā karo
āñkhoñ ko merī apne liye aa.ina karo
va.ade vafā kiye na kabhī tum ne jān-e-jāñ
dil phir bhī chāhtā hai ki va.ada nayā karo
rah kar tumhāre paas bhī rahtā huuñ maiñ kahāñ
mil jā.ūñ phir se tum ko bas itnī duā karo
ye daur-e-ishtihār hai gar kuchh na kar sako
ḳhud apne muñh se tum miyāñ-miTThū banā karo
is dasht-e-be-hisī meñ sunegā tumhārī kaun
murde haiñ sab yahāñ na yahāñ par sadā karo
achchhe lagoge aur bhi itna kiya karo
aankhon ko meri apne liye aaina karo
wade wafa kiye na kabhi tum ne jaan-e-jaan
dil phir bhi chahta hai ki wada naya karo
rah kar tumhaare pas bhi rahta hun main kahan
mil jaun phir se tum ko bas itni dua karo
ye daur-e-ishtihaar hai gar kuchh na kar sako
KHud apne munh se tum miyan-miTThu bana karo
is dasht-e-be-hisi mein sunega tumhaari kaun
murde hain sab yahan na yahan par sada karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.