Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai

Rishi Patialvi

ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    adā-e-husn husn-e-adā baat hotī hai

    vafā āzmā.ish par jafā baat hotī hai

    ye kaisā daur-daura hai qalam-rū-e-mohabbat meñ

    butoñ hukm chaltā hai ḳhudā baat hotī hai

    koī gunjā.ish-e-faryād-o-shikva tak nahīñ baaqī

    ḳhatā-e-be-gunāhī par sazā baat hotī hai

    bhar aatā hai dil-e-mahrūm-e-pursish dard-mandī se

    kahīñ bhī jab kisī dard-āshnā baat hotī hai

    phir us ke ba.ad kaam aatā hai jazba Duub marne

    talātum tak ḳhudā-o-nā-ḳhudā baat hotī hai

    duāoñ ke bharose par bigaḌte kaam bante haiñ

    davā be-sūd Thahre to duā baat hotī hai

    'rishī' qānūn-e-qudrat hai amal-dārī taġhayyur

    maqām-e-intihā par ibtidā baat hotī hai

    ada-e-husn ki husn-e-ada ki baat hoti hai

    wafa ki aazmaish par jafa ki baat hoti hai

    ye kaisa daur-daura hai qalam-ru-e-mohabbat mein

    buton ka hukm chalta hai KHuda ki baat hoti hai

    koi gunjaish-e-faryaad-o-shikwa tak nahin baqi

    KHata-e-be-gunahi par saza ki baat hoti hai

    bhar aata hai dil-e-mahrum-e-pursish dard-mandi se

    kahin bhi jab kisi dard-ashna ki baat hoti hai

    phir us ke baad kaam aata hai jazba Dub marne ka

    talatum tak KHuda-o-na-KHuda ki baat hoti hai

    duaon ke bharose par bigaDte kaam bante hain

    dawa be-sud Thahre to dua ki baat hoti hai

    'rishi' qanun-e-qudrat hai amal-dari taghayyur ki

    maqam-e-intiha par ibtida ki baat hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now