ada-e-husn se bahar nikal bhi sakta tha
adā-e-husn se bāhar nikal bhī saktā thā
vo dekh kar mire aañsū pighal bhī saktā thā
shajar ne chhāñv barābar rakhī mire uupar
vagarna dhuup kā sūraj nigal bhī saktā thā
uThā.e phirtā maiñ kab tak tasavvurāt kā bojh
tirā ḳhayāl mere hosh chhal bhī saktā thā
use jahān ke rangoñ ne khā liyā varna
maiñ us ke vāste duniyā badal bhī saktā thā
tanābeñ rishtoñ kī TūTeñgī ham ko thā ma.alūm
magar ye marhala kuchh vaqt Tal bhī saktā thā
churā.e vaqt se maiñ ne ka.ī hasīñ lamhe
mujhe ye vaqt kā ajgar nigal bhī saktā thā
usī ke haath meñ thā merā faisla varna
mirā harīf gavāhī badal bhī saktā thā
safar kā dard bhalā koī kab talak jhele
safar hayāt kā āhista chal bhī saktā thā
ulajh ke rah ga.ī gutthī mirī kahānī kī
vo ek lamha jo kuchh der Tal bhī saktā thā
tilism TuuT na paayā gumān kā varna
daraḳht dil meñ mohabbat kā phal bhī saktā thā
badal bhī saktā hai ġhamgīñ sadāo kā āhang
vo chāhtā to mirā dil bahal bhī saktā thā
ada-e-husn se bahar nikal bhi sakta tha
wo dekh kar mere aansu pighal bhi sakta tha
shajar ne chhanw barabar rakhi mere upar
wagarna dhup ka suraj nigal bhi sakta tha
uThae phirta main kab tak tasawwuraat ka bojh
tera KHayal mere hosh chhal bhi sakta tha
use jahan ke rangon ne kha liya warna
main us ke waste duniya badal bhi sakta tha
tanaben rishton ki TuTengi hum ko tha malum
magar ye marhala kuchh waqt Tal bhi sakta tha
churae waqt se main ne kai hasin lamhe
mujhe ye waqt ka ajgar nigal bhi sakta tha
usi ke hath mein tha mera faisla warna
mera harif gawahi badal bhi sakta tha
safar ka dard bhala koi kab talak jhele
safar hayat ka aahista chal bhi sakta tha
ulajh ke rah gai gutthi meri kahani ki
wo ek lamha jo kuchh der Tal bhi sakta tha
tilism TuT na paya guman ka warna
daraKHt dil mein mohabbat ka phal bhi sakta tha
badal bhi sakta hai ghamgin sadao ka aahang
wo chahta to mera dil bahal bhi sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.