Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ada-e-rasm-e-mohabbat KHata si lagti hai

Anwar Ansari

ada-e-rasm-e-mohabbat KHata si lagti hai

Anwar Ansari

MORE BYAnwar Ansari

    adā-e-rasm-e-mohabbat ḳhatā lagtī hai

    hameñ to apnī vafā bhī sazā lagtī hai

    safar meñ dhuup ehsās tak nahīñ hotā

    hamāre sar pe kisī duā lagtī hai

    vo merī fikr ko chhūtā hai jab ḳhayāloñ meñ

    har ek lafz meñ bū-e-hinā lagtī hai

    maiñ apne aap ko paatā huuñ rū-ba-rū apne

    tumhārī yaad bhī ab aa.ina lagtī hai

    ye surḳh phuul se chehre bhī zard-mā.il haiñ

    nasīm-e-sub.h-e-chaman kuchh ḳhafā lagtī hai

    mujhe zavāl lagtā hai ādamiyyat

    jab aadmī anā bhī ḳhudā lagtī hai

    mujhe talāsh hai ai dost aise logoñ

    ki talḳh baat bhī jin ko davā lagtī hai

    ye ranj-o-ġham ye masā.ib tirī ināyat haiñ

    mirī fuġhāñ bhī tirī atā lagtī hai

    ye zindagī to fasādoñ ko sauñp ham ne

    ye rasm-o-rāh-e-aqīdat fanā lagtī hai

    ġhubār chhāyā hai 'anvār' yuuñ ta.assub

    fazā-e-dahr koī badduā lagtī hai

    ada-e-rasm-e-mohabbat KHata si lagti hai

    hamein to apni wafa bhi saza si lagti hai

    safar mein dhup ka ehsas tak nahin hota

    hamare sar pe kisi ki dua si lagti hai

    wo meri fikr ko chhuta hai jab KHayalon mein

    har ek lafz mein bu-e-hina si lagti hai

    main apne aap ko pata hun ru-ba-ru apne

    tumhaari yaad bhi ab aaina si lagti hai

    ye surKH phul se chehre bhi zard-mail hain

    nasim-e-subh-e-chaman kuchh KHafa si lagti hai

    mujhe zawal sa lagta hai aadamiyyat ka

    jab aadmi ki ana bhi KHuda si lagti hai

    mujhe talash hai ai dost aise logon ki

    ki talKH baat bhi jin ko dawa si lagti hai

    ye ranj-o-gham ye masaib teri inayat hain

    meri fughan bhi teri hi ata si lagti hai

    ye zindagi to fasadon ko saunp di hum ne

    ye rasm-o-rah-e-aqidat fana si lagti hai

    ghubar chhaya hai 'anwar' yun tassub ka

    faza-e-dahr koi baddua si lagti hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now