ada ke tausan par us sanam ko jo aaj humne sawar dekha

ada ke tausan par us sanam ko jo aaj humne sawar dekha
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
adā ke tausan par us sanam ko jo aaj ham ne savār dekhā
to hilte hī Tuk inaañ ke kyā kyā kuchalte sabr-o-qarār dekhā
jhapak pe mizhgāñ ke jab nigah kī to us ne ik pal meñ hosh uḌāyā
jo chashm-o-ġhamza kī tarz dekhī to jaadū is kā shi.ār dekhā
jo dekhī us kī vo teġh-e-abrū to jī ko haibat ne aan gherā
nigah jo kākul ke daam par kī to dil ko is kā shikār dekhā
hinā jo hāthoñ meñ us ke dekhī to rañg dil kā huā ajab kuchh
kamar bhī dekhī to aisī nāzuk ki ho bhī is par nisār dekhā
vo dekh letā hamārī jānib to is meñ hotī kuchh aur ḳhūbī
par us ne hargiz idhar na dekhā 'nazīr' ham ne hazār dekhā
ada ke tausan par us sanam ko jo aaj hum ne sawar dekha
to hilte hi Tuk inan ke kya kya kuchalte sabr-o-qarar dekha
jhapak pe mizhgan ke jab nigah ki to us ne ek pal mein hosh uDaya
jo chashm-o-ghamza ki tarz dekhi to jadu is ka shiar dekha
jo dekhi us ki wo tegh-e-abru to ji ko haibat ne aan ghera
nigah jo kakul ke dam par ki to dil ko is ka shikar dekha
hina jo hathon mein us ke dekhi to rang dil ka hua ajab kuchh
kamar bhi dekhi to aisi nazuk ki ho bhi is par nisar dekha
wo dekh leta hamari jaanib to is mein hoti kuchh aur KHubi
par us ne hargiz idhar na dekha 'nazir' hum ne hazar dekha
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.