ada-shanas nazar dard-ashna na mila
adā-shanās nazar dard-āshnā na milā
koī hasīn zamāne meñ bā-vafā na milā
rah-e-talab meñ mile rāhzan hazār magar
mirā nasīb koī mujh ko rahnumā na milā
koī maqām jabīn-e-niyāz kī ḳhātir
barā-e-sajda dar-e-yār ke sivā na milā
vo mai-kade ke 'alāva kahāñ sukūñ paa.e
hudūd-e-dair-o-haram meñ jise ḳhudā na milā
vo maiñ huuñ rāh-rav-e-zindagī 'amīr' jise
pas-e-talāsh bhī manzil kā kuchh pata na milā
ada-shanas nazar dard-ashna na mila
koi hasin zamane mein ba-wafa na mila
rah-e-talab mein mile rahzan hazar magar
mera nasib koi mujh ko rahnuma na mila
koi maqam jabin-e-niyaz ki KHatir
bara-e-sajda dar-e-yar ke siwa na mila
wo mai-kade ke 'alawa kahan sukun pae
hudud-e-dair-o-haram mein jise KHuda na mila
wo main hun rah-raw-e-zindagi 'amir' jise
pas-e-talash bhi manzil ka kuchh pata na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.