adaen hain jo us rashk-e-pari mein
adā.eñ haiñ jo us rashk-e-parī meñ
na DhūñDe se mileñgī vo kisī meñ
na dekhī vo kisī kī dushmanī meñ
jo aafat hai tumhārī dostī meñ
taġhāful kis qadar himmat-shikan hai
nahīñ hai ab koī armān jī meñ
taḌapte haiñ hazāroñ kushta-e-ġham
qayāmat hai bapā terī galī meñ
banāvaT meñ vo kaifiyyat kahāñ hai
mazā hai jo tumhārī sādgī meñ
vo kab sunñe lage haiñ shikva-e-ġham
ḳhafā ho jaate haiñ jo dil-lagī meñ
judā jab se hue ho tum mirī jaañ
kamī kuchh aa ga.ī hai zindagī meñ
vahī dil ko bachā saktā hai ġham se
kabhī jo ḳhush nahīñ hotā ḳhushī meñ
bachānā har balā se ai ḳhudā tū
tirā hī aasrā hai be-kasī meñ
jo dil meñ bas rahā hai kaun hai vo
kise ma.alūm hai ye be-ḳhudī meñ
tumhīñ ko chhīntī hai mujh se duniyā
mile the ek tum hī zindagī meñ
na bhūlegī ye sair-e-bāġh 'hājir'
kisī ko saath le kar chāñdnī meñ
adaen hain jo us rashk-e-pari mein
na DhunDe se milengi wo kisi mein
na dekhi wo kisi ki dushmani mein
jo aafat hai tumhaari dosti mein
taghaful kis qadar himmat-shikan hai
nahin hai ab koi arman ji mein
taDapte hain hazaron kushta-e-gham
qayamat hai bapa teri gali mein
banawaT mein wo kaifiyyat kahan hai
maza hai jo tumhaari sadgi mein
wo kab sunne lage hain shikwa-e-gham
KHafa ho jate hain jo dil-lagi mein
juda jab se hue ho tum meri jaan
kami kuchh aa gai hai zindagi mein
wahi dil ko bacha sakta hai gham se
kabhi jo KHush nahin hota KHushi mein
bachana har bala se ai KHuda tu
tera hi aasra hai be-kasi mein
jo dil mein bas raha hai kaun hai wo
kise malum hai ye be-KHudi mein
tumhin ko chhinti hai mujh se duniya
mile the ek tum hi zindagi mein
na bhulegi ye sair-e-bagh 'hajir'
kisi ko sath le kar chandni mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.