adalat se yahan rota hua har muddai nikla
adālat se yahāñ rotā huā har mudda.ī niklā
karam-farmā.ī se munsif kī har mujrim barī niklā
jo hotā aarzī sadma to sah kar jī liye hote
magar kyā kījiye dāġh-e-judā.ī dā.imī niklā
amīr-e-shahr terī baḳhshishoñ kā hai pata ham ko
milā jo tujh se apnī aañkh meñ le kar namī niklā
yaqīñ hotā na thā hairat se ham sab ko rahe takte
hamām-e-zindagī se barhana har aadmī niklā
yaqīnī fat.h thī 'anvar' muqābil haar hī jaatā
qabīle kā mire sardār jo thā sāzishī niklā
adalat se yahan rota hua har muddai nikla
karam-farmai se munsif ki har mujrim bari nikla
jo hota aarzi sadma to sah kar ji liye hote
magar kya kijiye dagh-e-judai daimi nikla
amir-e-shahr teri baKHshishon ka hai pata hum ko
mila jo tujh se apni aankh mein le kar nami nikla
yaqin hota na tha hairat se hum sab ko rahe takte
hamam-e-zindagi se barhana har aadmi nikla
yaqini fath thi 'anwar' muqabil haar hi jata
qabile ka mere sardar jo tha sazishi nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.