adawat dil mein rakhte hain magar yari dikhate hain
adawat dil mein rakhte hain magar yari dikhate hain
Virendra Khare Akela
MORE BYVirendra Khare Akela
adāvat dil meñ rakhte haiñ magar yaarī dikhāte haiñ
na jaane log bhī kyā kyā adākārī dikhāte haiñ
yaqīnan un kā jī bharne lagā hai mezbānī se
vo kuchh din se hameñ jaatī huī lorry dikhāte haiñ
ulajhnā hai hameñ banjar zamīnoñ kī haqīqat se
unheñ kyā vo to bas kāġhaz pe phulvārī dikhāte haiñ
madad karne se pahle tum haqīqat bhī parakh lenā
yahāñ par ādatan kuchh log lāchārī dikhāte haiñ
Darānā chāhte haiñ vo hameñ bhī dhamkiyāñ de kar
baḌe nādān haiñ paanī ko chingārī dikhāte haiñ
daraḳhtoñ kī hifāzat karne vaalo Dar nahīñ jaanā
dikhāne do agar kuchh sar-phire aarī dikhāte haiñ
himāqat qābil-e-tārīf hai un kī 'akelā' jī
hamīñ se kaam hai ham ko hī rañg-dārī dikhāte haiñ
adawat dil mein rakhte hain magar yari dikhate hain
na jaane log bhi kya kya adakari dikhate hain
yaqinan un ka ji bharne laga hai mezbani se
wo kuchh din se hamein jati hui lorry dikhate hain
ulajhna hai hamein banjar zaminon ki haqiqat se
unhen kya wo to bas kaghaz pe phulwari dikhate hain
madad karne se pahle tum haqiqat bhi parakh lena
yahan par aadatan kuchh log lachaari dikhate hain
Darana chahte hain wo hamein bhi dhamkiyan de kar
baDe nadan hain pani ko chingari dikhate hain
daraKHton ki hifazat karne walo Dar nahin jaana
dikhane do agar kuchh sar-phire aari dikhate hain
himaqat qabil-e-tarif hai un ki 'akela' ji
hamin se kaam hai hum ko hi rang-dari dikhate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.