adawat ki bhasha kahan bolte hain
'adāvat kī bhāshā kahāñ bolte haiñ
mohabbat kī ham to zabāñ bolte haiñ
ġharīboñ kī ab aur hālat burī hai
ġharīboñ ke ujḌe makāñ bolte haiñ
ye shohrat kī ho aag tum ko mubārak
dhuāñ hai ham is ko dhuāñ bolte haiñ
haiñ badlī huī dostoñ kī nigāheñ
kahāñ ho ke ab mehrbāñ bolte haiñ
vo kānoñ meñ ras gholte haiñ hamāre
jo 'yāsīn' urdu zabāñ bolte haiñ
'adawat ki bhasha kahan bolte hain
mohabbat ki hum to zaban bolte hain
gharibon ki ab aur haalat buri hai
gharibon ke ujDe makan bolte hain
ye shohrat ki ho aag tum ko mubarak
dhuan hai hum is ko dhuan bolte hain
hain badli hui doston ki nigahen
kahan ho ke ab mehrban bolte hain
wo kanon mein ras gholte hain hamare
jo 'yasin' urdu zaban bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.