adawat pakaDte chale ja rahe hain
adāvat pakaḌte chale jā rahe haiñ
vo mujh se jhagaḌte chale jā rahe haiñ
musalsal na rah mahv-e-fikr-e-suḳhan yuuñ
tire baal jhaḌte chale jā rahe haiñ
zarā chaar paise jo aa.e to kam-zarf
sunā hai akaḌte chale jā rahe haiñ
baḌoñ meñ hī koī kamī rah ga.ī thī
jo bachche bigaḌte chale jā rahe haiñ
jo shāna bashāna the kal har qadam par
vo kyoñ ab bichhaḌte chale jā rahe haiñ
sabhī ek kunbe ke haiñ log 'ahmad'
jo aapas meñ laḌte chale jā rahe hī
adawat pakaDte chale ja rahe hain
wo mujh se jhagaDte chale ja rahe hain
musalsal na rah mahw-e-fikr-e-suKHan yun
tere baal jhaDte chale ja rahe hain
zara chaar paise jo aae to kam-zarf
suna hai akaDte chale ja rahe hain
baDon mein hi koi kami rah gai thi
jo bachche bigaDte chale ja rahe hain
jo shana bashana the kal har qadam par
wo kyon ab bichhaDte chale ja rahe hain
sabhi ek kunbe ke hain log 'ahmad'
jo aapas mein laDte chale ja rahe hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.