adawaton se mohabbat ka gham nikalte hain
adawaton se mohabbat ka gham nikalte hain
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
adāvatoñ se mohabbat kā ġham nikālte haiñ
ham apne dil ko bhī marzī se kab uchhālte haiñ
ye puurī duniyā hī behosh ho ga.ī hai bhalā
hameñ ḳhabar hī nahīñ kis ko kab sambhālte haiñ
jahāñ jahāñ bhī zarūrat paḌī mohabbat kī
ham apne ḳhuun ko paikar meñ bhar hī Dhālte haiñ
ḳhud aise dost rakkhe haiñ ki jo vafā na kareñ
ham apne shauq se zahrīle saañp pālte haiñ
ye mai-kade kī rivāyat ajab lagī 'bushrā'
jo girne lagtā hai us ko nahīñ sambhālte haiñ
adawaton se mohabbat ka gham nikalte hain
hum apne dil ko bhi marzi se kab uchhaalte hain
ye puri duniya hi behosh ho gai hai bhala
hamein KHabar hi nahin kis ko kab sambhaalte hain
jahan jahan bhi zarurat paDi mohabbat ki
hum apne KHun ko paikar mein bhar hi Dhaalte hain
KHud aise dost rakkhe hain ki jo wafa na karen
hum apne shauq se zahrile sanp palte hain
ye mai-kade ki riwayat ajab lagi 'bushra'
jo girne lagta hai us ko nahin sambhaalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.