adab ka sanp jo tanhaiyon se lipTa hai
adab kā saañp jo tanhā.iyoñ se lipTā hai
mire ġhurūr kī parchhā.iyoñ se lipTā hai
mirī nazar meñ vo ra.anā.iyoñ se lipTā hai
jo aaj dard kī purvā.iyoñ se lipTā hai
vahī to detā hai is ġham kī bel ko paanī
jo dard dard kī gahrā.iyoñ se lipTā hai
na jaane kab mire gītoñ kī dhun huī ruḳhsat
bas ek ḳhvāb sā shahnā.iyoñ se lipTā hai
dayār-e-jāñ tū ise raaz kī tarah rakhnā
mirā vajūd jo ūñchā.iyoñ se lipTā hai
haveliyoñ kī sadāoñ pe kaan kyā dhartā
mirā yaqīn mire bhā.iyoñ se lipTā hai
adab ka sanp jo tanhaiyon se lipTa hai
mere ghurur ki parchhaiyon se lipTa hai
meri nazar mein wo ranaiyon se lipTa hai
jo aaj dard ki purwaiyon se lipTa hai
wahi to deta hai is gham ki bel ko pani
jo dard dard ki gahraiyon se lipTa hai
na jaane kab mere giton ki dhun hui ruKHsat
bas ek KHwab sa shahnaiyon se lipTa hai
dayar-e-jaan tu ise raaz ki tarah rakhna
mera wajud jo unchaiyon se lipTa hai
haweliyon ki sadaon pe kan kya dharta
mera yaqin mere bhaiyon se lipTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.