adab ko itna gira rahe ho koi sunega to kya kahega
adab ko itnā girā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
suḳhan kī 'azmat ghaTā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
diyoñ kā nām-o-nishāñ miTā kar tum un kā ḳhūn-e-jigar milā kar
charāġh apnā jalā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
hamesha jis ne samāj meñ kī tumhāre 'aiboñ kī parda-poshī
usī pe tohmat lagā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
hai ghar meñ jis se ḳhudā kī rahmat hai jis ke qadmoñ ke nīche jannat
usī ko zahmat batā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
jinhoñ ne tum ko janam diyā hai paḌhā likhā kar baḌā kiyā hai
unheñ hī āñkheñ dikhā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
hai jin se shāḳh-e-vafā mahaktī hai jin ke ḳhuuñ meñ vatan-parastī
unheñ fasādī batā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
mohabbatoñ ke gulāb tum par hamesha ham ne kiye nichhāvar
hamīñ pe nashtar chalā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
masarratoñ ke diye jalā kar zarūratoñ kā galā dabā kar
ġhamoñ ko 'ālam' chhupā rahe ho koī sunegā to kyā kahegā
adab ko itna gira rahe ho koi sunega to kya kahega
suKHan ki 'azmat ghaTa rahe ho koi sunega to kya kahega
diyon ka nam-o-nishan miTa kar tum un ka KHun-e-jigar mila kar
charagh apna jala rahe ho koi sunega to kya kahega
hamesha jis ne samaj mein ki tumhaare 'aibon ki parda-poshi
usi pe tohmat laga rahe ho koi sunega to kya kahega
hai ghar mein jis se KHuda ki rahmat hai jis ke qadmon ke niche jannat
usi ko zahmat bata rahe ho koi sunega to kya kahega
jinhon ne tum ko janam diya hai paDha likha kar baDa kiya hai
unhen hi aankhen dikha rahe ho koi sunega to kya kahega
hai jin se shaKH-e-wafa mahakti hai jin ke KHun mein watan-parasti
unhen fasadi bata rahe ho koi sunega to kya kahega
mohabbaton ke gulab tum par hamesha hum ne kiye nichhawar
hamin pe nashtar chala rahe ho koi sunega to kya kahega
masarraton ke diye jala kar zaruraton ka gala daba kar
ghamon ko 'alam' chhupa rahe ho koi sunega to kya kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.