adab se shikwa-e-gham ho raha hai
adab se shikva-e-ġham ho rahā hai
zabāñ ḳhāmosh hai dil ro rahā hai
jigar betāb hai dil ro rahā hai
tamannāoñ kā mātam ho rahā hai
zamāna laakh de chhīñTe pe chhīñTe
maiñ kyā jāgūñ muqaddar so rahā hai
samajhtā hai vo jannat kī haqīqat
tirī mahfil meñ dam-bhar jo rahā hai
jabīñ apnī kisī kā āstāñ hai
muqaddar ab muqaddar ho rahā hai
dil-e-nā-fahm ye aañsū nahīñ haiñ
baḌe nāyāb motī kho rahā hai
mohabbat-rez fitrat ban rahī hai
qayāmat-ḳhez aalam ho rahā hai
nayā andāz hai uzr-e-sitam kā
mujhī se merā shikva ho rahā hai
shab-e-ġham aur sukūn-e-qalb-e-muztar
mujhe kuchh aur hī shak ho rahā hai
yahāñ tak rāz-e-dil ham ne chhupāyā
zamāne meñ fasāna ho rahā hai
ilāhī shān-e-sattārī kā sadqa
shumār-e-ma.asiyat kyoñ ho rahā hai
inhī āñkhoñ meñ jannat bas rahī hai
inhī āñkhoñ meñ mahshar so rahā hai
dabe paañv guzar jaa.e qayāmat
koī barsoñ kā jaagā so rahā hai
ye dard-e-dil 'munīr' un kā karam hai
maqām-e-shukr hai tū ro rahā hai
adab se shikwa-e-gham ho raha hai
zaban KHamosh hai dil ro raha hai
jigar betab hai dil ro raha hai
tamannaon ka matam ho raha hai
zamana lakh de chhinTe pe chhinTe
main kya jagun muqaddar so raha hai
samajhta hai wo jannat ki haqiqat
teri mahfil mein dam-bhar jo raha hai
jabin apni kisi ka aastan hai
muqaddar ab muqaddar ho raha hai
dil-e-na-fahm ye aansu nahin hain
baDe nayab moti kho raha hai
mohabbat-rez fitrat ban rahi hai
qayamat-KHez aalam ho raha hai
naya andaz hai uzr-e-sitam ka
mujhi se mera shikwa ho raha hai
shab-e-gham aur sukun-e-qalb-e-muztar
mujhe kuchh aur hi shak ho raha hai
yahan tak raaz-e-dil hum ne chhupaya
zamane mein fasana ho raha hai
ilahi shan-e-sattari ka sadqa
shumar-e-masiyat kyon ho raha hai
inhi aankhon mein jannat bas rahi hai
inhi aankhon mein mahshar so raha hai
dabe panw guzar jae qayamat
koi barson ka jaga so raha hai
ye dard-e-dil 'munir' un ka karam hai
maqam-e-shukr hai tu ro raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.