Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adab se shikwa-e-gham ho raha hai

Muneer Bhopali

adab se shikwa-e-gham ho raha hai

Muneer Bhopali

MORE BYMuneer Bhopali

    adab se shikva-e-ġham ho rahā hai

    zabāñ ḳhāmosh hai dil ro rahā hai

    jigar betāb hai dil ro rahā hai

    tamannāoñ mātam ho rahā hai

    zamāna laakh de chhīñTe pe chhīñTe

    maiñ kyā jāgūñ muqaddar so rahā hai

    samajhtā hai vo jannat haqīqat

    tirī mahfil meñ dam bhar jo rahā hai

    jabīñ apnī kisī āstāñ hai

    muqaddar ab muqaddar ho rahā hai

    samajhtā hai vo jannat haqīqat

    tirī mahfil meñ dam bhar jo rahā hai

    jabīñ apnī kisī āstāñ hai

    muqaddar ab muqaddar ho rahā hai

    dil-e-nā-fahm ye aañsū nahīñ haiñ

    baḌe nāyāb motī kho rahā hai

    mohabbat-rez fitrat ban rahī hai

    qayāmat-ḳhez aalam ho rahā hai

    nayā andāz hai uzr-e-sitam

    mujhī se merā shikva ho rahā hai

    shab-e-ġham aur sukūn-e-qalb-e-muztar

    mujhe kuchh aur shak ho rahā hai

    ilāhī shān-e-sattārī sadqa

    shumār-e-ma.asiyat kyoñ ho rahā hai

    inhī āñkhoñ meñ jannat bas rahī hai

    inhī āñkhoñ meñ mahshar so rahā hai

    na be-pāñv guzar jaa.e qayāmat

    koī barsoñ jaagā so rahā hai

    ye dard-e-dil 'munīr' un karam hai

    maqām-e-shukr hai ro rahā hai

    adab se shikwa-e-gham ho raha hai

    zaban KHamosh hai dil ro raha hai

    jigar betab hai dil ro raha hai

    tamannaon ka matam ho raha hai

    zamana lakh de chhinTe pe chhinTe

    main kya jagun muqaddar so raha hai

    samajhta hai wo jannat ki haqiqat

    teri mahfil mein dam bhar jo raha hai

    jabin apni kisi ka aastan hai

    muqaddar ab muqaddar ho raha hai

    samajhta hai wo jannat ki haqiqat

    teri mahfil mein dam bhar jo raha hai

    jabin apni kisi ka aastan hai

    muqaddar ab muqaddar ho raha hai

    dil-e-na-fahm ye aansu nahin hain

    baDe nayab moti kho raha hai

    mohabbat-rez fitrat ban rahi hai

    qayamat-KHez aalam ho raha hai

    naya andaz hai uzr-e-sitam ka

    mujhi se mera shikwa ho raha hai

    shab-e-gham aur sukun-e-qalb-e-muztar

    mujhe kuchh aur hi shak ho raha hai

    ilahi shan-e-sattari ka sadqa

    shumar-e-masiyat kyon ho raha hai

    inhi aankhon mein jannat bas rahi hai

    inhi aankhon mein mahshar so raha hai

    na be-panw guzar jae qayamat

    koi barson ka jaga so raha hai

    ye dard-e-dil 'munir' un ka karam hai

    maqam-e-shukr hai tu ro raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now