adaq ye baat sahi phir bhi kar dikhaenge
adaq ye baat sahī phir bhī kar dikhā.eñge
bulandiyoñ pe pahuñch kar tujhe bulā.eñge
mujhe vo vaqt vo lamhāt yaad ā.eñge
ye nanhe lawn meñ jab titliyāñ uḌā.eñge
kiyā hai ahd akele raheñge ham daa.im
bharī rahe tirī duniyā meñ ham na ā.eñge
sumoñ kā rāsta taktī raheñgī sāñvaliyāñ
jo panchhiyoñ kī tarah lauT kar na ā.eñge
mirī qasam tujhe shahlā na ro na ho betāb
tire zavāl ke ye din bhī biit jā.eñge
adaq ye baat sahi phir bhi kar dikhaenge
bulandiyon pe pahunch kar tujhe bulaenge
mujhe wo waqt wo lamhat yaad aaenge
ye nanhe lawn mein jab titliyan uDaenge
kiya hai ahd akele rahenge hum daim
bhari rahe teri duniya mein hum na aaenge
sumon ka rasta takti rahengi sanwaliyan
jo panchhiyon ki tarah lauT kar na aaenge
meri qasam tujhe shahla na ro na ho betab
tere zawal ke ye din bhi bit jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.