adhura apni hi zindagi ka hisab Thahra
adhūrā apnī hī zindagī kā hisāb Thahrā
jo chāhe paḌh le hamārā chehrā kitāb Thahrā
sunā thā kānoñ se jo bhī us ne vo sab haqīqat
hamārī āñkhoñ ne jo bhī dekhā vo ḳhvāb Thahrā
ikaTThā zar kar liyā hai us ne bhī apne ghar meñ
razīl jitnā thā utnā izzat-ma.āb Thahrā
sunā hai maiñ ne vo shaḳhs bhī ban gayā hai achchhā
milūñgā kaise ki maiñ to āḳhir ḳharāb Thahrā
ġharīb har koī nāchtā hai unhīñ kī dhun par
ye dast-e-ahl-e-arab meñ kaisā rabāb Thahrā
kiyā hai ehsān maut ne dī najāt mujh ko
shikāyatoñ kā bhī ḳhatm 'saifī' lo baab Thahrā
adhura apni hi zindagi ka hisab Thahra
jo chahe paDh le hamara chehra kitab Thahra
suna tha kanon se jo bhi us ne wo sab haqiqat
hamari aankhon ne jo bhi dekha wo KHwab Thahra
ikaTTha zar kar liya hai us ne bhi apne ghar mein
razil jitna tha utna izzat-maab Thahra
suna hai main ne wo shaKHs bhi ban gaya hai achchha
milunga kaise ki main to aaKHir KHarab Thahra
gharib har koi nachta hai unhin ki dhun par
ye dast-e-ahl-e-arab mein kaisa rabab Thahra
kiya hai ehsan maut ne di najat mujh ko
shikayaton ka bhi KHatm 'saifi' lo bab Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.