adhura hi rahe har rasta to
adhūrā hī rahe har rāsta to
nā pahuñche manziloñ tak silsila to
jise chāheñ vahī kho jaa.e ham se
hamāre saath phir aisā huā to
jahāñ āvārgī bikhrī paḌī ho
maiñ us raste se manzil pā gayā to
tujhe paane meñ ḳhud ko bhuul baiThā
tujhe pā kar bhī maiñ tanhā rahā to
yaqīñ kar ke tire pīchhe chale haiñ
nazar aa.e nā phir bhī rāsta to
adhura hi rahe har rasta to
na pahunche manzilon tak silsila to
jise chahen wahi kho jae hum se
hamare sath phir aisa hua to
jahan aawargi bikhri paDi ho
main us raste se manzil pa gaya to
tujhe pane mein KHud ko bhul baiTha
tujhe pa kar bhi main tanha raha to
yaqin kar ke tere pichhe chale hain
nazar aae na phir bhi rasta to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.