adhura ishq rahta hai mukammal kyon nahin hota
adhūrā ishq rahtā hai mukammal kyoñ nahīñ hotā
kabhī pyāse laboñ ke paas bādal kyoñ nahīñ hotā
mahaktā hī rahe dil meñ hamesha ek sā mausam
nigāhoñ meñ basā har ḳhvāb sandal kyoñ nahīñ hotā
kabhī fursat mile to paas baiTheñ zindagī jī leñ
Thahar jaa.e zarā sā vo hasīñ pal kyoñ nahīñ hotā
harī ho shāḳh yādoñ kī khile hoñ phuul Daalī par
jidhar dekhūñ udhar gulzār jangal kyoñ nahīñ hotā
mohabbat meñ nahīñ dikhtī ibādat vo purānī sī
zamāne meñ kahīñ ab koī pāgal kyoñ nahīñ hotā
adhura ishq rahta hai mukammal kyon nahin hota
kabhi pyase labon ke pas baadal kyon nahin hota
mahakta hi rahe dil mein hamesha ek sa mausam
nigahon mein basa har KHwab sandal kyon nahin hota
kabhi fursat mile to pas baiThen zindagi ji len
Thahar jae zara sa wo hasin pal kyon nahin hota
hari ho shaKH yaadon ki khile hon phul Dali par
jidhar dekhun udhar gulzar jangal kyon nahin hota
mohabbat mein nahin dikhti ibaadat wo purani si
zamane mein kahin ab koi pagal kyon nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.