adhure KHwab ka chehra udasi
adhūre ḳhvāb kā chehra udāsī
badalte vaqt kā lahja udāsī
charāġh-e-āḳhir-e-shab āḳhirī lau
ḳhamoshī boltī hai yā udāsī
gumāñ kā pahlā manzar raushnī hai
gumāñ kā āḳhirī lamha udāsī
tirā honā bhī ab kaafī nahīñ hai
udāsī hai bahut bejā udāsī
ye phīkī muskurāhaT bhīgī palkeñ
purānī yaad kā rishta udāsī
adhure KHwab ka chehra udasi
badalte waqt ka lahja udasi
charagh-e-aKHir-e-shab aaKHiri lau
KHamoshi bolti hai ya udasi
guman ka pahla manzar raushni hai
guman ka aaKHiri lamha udasi
tera hona bhi ab kafi nahin hai
udasi hai bahut beja udasi
ye phiki muskurahaT bhigi palken
purani yaad ka rishta udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.