adhure KHwab Tahalte hain ghar ke aangan mein
adhūre ḳhvāb Tahalte haiñ ghar ke āñgan meñ
sirhāne niiñd kā jhokā khaḌā sā rahtā hai
dukhoñ kī jhiil meñ yādoñ kā tanhā chāñd koī
udaas raat ko taktā huā sā rahtā hai
tumhārī aañkh kā kājal bhigo diyā kis ne
tumhārī ruḳh kā diyā kyoñ bujhā sā rahtā hai
tujhe ye kyā huā 'afroz' ḳhud ko bhuul gayā
tū kis kī yaad meñ uljhā huā sā rahtā hai
adhure KHwab Tahalte hain ghar ke aangan mein
sirhane nind ka jhoka khaDa sa rahta hai
dukhon ki jhil mein yaadon ka tanha chand koi
udas raat ko takta hua sa rahta hai
tumhaari aankh ka kajal bhigo diya kis ne
tumhaari ruKH ka diya kyon bujha sa rahta hai
tujhe ye kya hua 'afroz' KHud ko bhul gaya
tu kis ki yaad mein uljha hua sa rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.