adhuri chiz mukammal kahan lagegi mujhe
adhūrī chiiz mukammal kahāñ lagegī mujhe
tamām umr kisī kī kamī rahegī mujhe
maiñ is liye bhī ḳhushī ko talāsh kartā nahīñ
mire nasīb meñ hogī to DhūñD legī mujhe
maiñ ek roz yaqīnan tujhe daġhā dūñgā
tū ek roz yaqīnan burā kahegī mujhe
badan udheḌegī bismil kā zindagī pahle
sunā hai ḳhaak meñ āḳhir vo zam karegī mujhe
maiñ sah rahā huuñ jo muddat se rāt-din 'yāsir'
ab is azaab se duurī bhī maar degī mujhe
adhuri chiz mukammal kahan lagegi mujhe
tamam umr kisi ki kami rahegi mujhe
main is liye bhi KHushi ko talash karta nahin
mere nasib mein hogi to DhunD legi mujhe
main ek roz yaqinan tujhe dagha dunga
tu ek roz yaqinan bura kahegi mujhe
badan udheDegi bismil ka zindagi pahle
suna hai KHak mein aaKHir wo zam karegi mujhe
main sah raha hun jo muddat se raat-din 'yasir'
ab is azab se duri bhi mar degi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.