adhuri na-shunida dastan hun
adhūrī nā-shunīda dāstāñ huuñ
ki shāyad maiñ samā.at par garāñ huuñ
ḳhayāloñ meñ bhī kuchh vāzeh nahīñ hai
yaqīñ kī god meñ paltā gumāñ huuñ
lab-e-iz.hār chup hai merī ḳhātir
abhī haañ aur nahīñ ke darmiyāñ huuñ
bulandī par havā le jā rahī hai
charāġh-e-jism se uThtā dhuāñ huuñ
kashish bāzār kī roke hue hai
abhī maiñ apne ghar pahuñchā kahāñ huuñ
mujhe pāoge dil ke paas har dam
jahāñ mahsūs kar loge vahāñ huuñ
mire andar hai poshīda qayāmat
kamāl-e-zabt kā ik imtihāñ huuñ
hue 'ejāz' būḌhe tum magar maiñ
ḳhudā ke fazl se ab tak javāñ huuñ
adhuri na-shunida dastan hun
ki shayad main samaat par garan hun
KHayalon mein bhi kuchh wazeh nahin hai
yaqin ki god mein palta guman hun
lab-e-izhaar chup hai meri KHatir
abhi han aur nahin ke darmiyan hun
bulandi par hawa le ja rahi hai
charagh-e-jism se uThta dhuan hun
kashish bazar ki roke hue hai
abhi main apne ghar pahuncha kahan hun
mujhe paoge dil ke pas har dam
jahan mahsus kar loge wahan hun
mere andar hai poshida qayamat
kamal-e-zabt ka ek imtihan hun
hue 'ejaz' buDhe tum magar main
KHuda ke fazl se ab tak jawan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.