adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana
adhūrī qurbatoñ ke ḳhvāb āñkhoñ ko dikhā jaanā
hazāroñ dūriyoñ par ye tirā kuchh paas aa jaanā
udāsī ke dhuñdlakoñ kā dimāġh-o-dil pe chhā jaanā
nazar ke sāmne ik gum-shuda manzar kā aa jaanā
sunī hai maiñ ne aksar band darvāzoñ kī sargoshī
sadā.eñ chāhtī haiñ sab khulī saḌkoñ pe aa jaanā
tirī yādeñ ki is tūfān-e-zulmat meñ bhī raushan haiñ
huā mushkil havā ko in charāġhoñ kā bujhā jaanā
ḳhalā meñ Dūbtī sī āhaTeñ thiiñ kuchh jinheñ ham ne
safar meñ saath rakkhā manziloñ kā aasrā jaanā
maiñ tere saath huuñ to us kī ḳhushbū ke ta'āqub meñ
jahāñ tak jā sake ai sar-phirī mauj-e-havā jaanā
nazar us kī bhī ai 'maḳhmūr' dhokā khā ga.ī āḳhir
vahī thā āshnā chehra jise nā-āshnā jaanā
adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana
hazaron duriyon par ye tera kuchh pas aa jaana
udasi ke dhundlakon ka dimagh-o-dil pe chha jaana
nazar ke samne ek gum-shuda manzar ka aa jaana
suni hai main ne aksar band darwazon ki sargoshi
sadaen chahti hain sab khuli saDkon pe aa jaana
teri yaaden ki is tufan-e-zulmat mein bhi raushan hain
hua mushkil hawa ko in charaghon ka bujha jaana
KHala mein Dubti si aahaTen thin kuchh jinhen hum ne
safar mein sath rakkha manzilon ka aasra jaana
main tere sath hun to us ki KHushbu ke ta'aqub mein
jahan tak ja sake ai sar-phiri mauj-e-hawa jaana
nazar us ki bhi ai 'maKHmur' dhoka kha gai aaKHir
wahi tha aashna chehra jise na-ashna jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.