adibon se muqarrar ki talab hai
adīboñ se muqarrar kī talab hai
zarā sī us suḳhanvar kī talab hai
use bhī ho talab merī nazar kī
mujhe us ek manzar kī talab hai
hathauḌe chheniyoñ ko jhel kar bhī
ḳhudā ho jaa.e patthar kī talab hai
rakhe koī mire ghaav pe marham
qabā ko bhī rafūgar kī talab hai
nahīñ chalnā mujhe manzil kī jānib
thakā huuñ narm bistar kī talab hai
lagī is or bhī kamtar nahīñ hai
udhar bhī to barābar kī talab hai
piyā hai zahr bas duniyā kī ḳhātir
vagarna kab ye shankar kī talab hai
abhī kuchh ḳhuun baaqī hai jigar meñ
abhī kuchh aur nashtar kī talab hai
adibon se muqarrar ki talab hai
zara si us suKHanwar ki talab hai
use bhi ho talab meri nazar ki
mujhe us ek manzar ki talab hai
hathauDe chheniyon ko jhel kar bhi
KHuda ho jae patthar ki talab hai
rakhe koi mere ghaw pe marham
qaba ko bhi rafugar ki talab hai
nahin chalna mujhe manzil ki jaanib
thaka hun narm bistar ki talab hai
lagi is or bhi kamtar nahin hai
udhar bhi to barabar ki talab hai
piya hai zahr bas duniya ki KHatir
wagarna kab ye shankar ki talab hai
abhi kuchh KHun baqi hai jigar mein
abhi kuchh aur nashtar ki talab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.