adu daman pasare mil rahe hain
'adū dāman pasāre mil rahe haiñ
to kyā ab do sitāre mil rahe haiñ
bhañvar kī justujū thī aur ham ko
kināre hī kināre mil rahe haiñ
to phir ham kyoñ nahīñ mil pā rahe dost
sitāre to hamāre mil rahe haiñ
yahīñ se aag ke sho'le uTheñge
jahāñ par do sharāre mil rahe haiñ
samundar-burd ho jā.egā sab kuchh
kināre se kināre mil rahe haiñ
milan kī aas meñ baiThe the 'ārif'
judā.ī ke ishāre mil rahe haiñ
'adu daman pasare mil rahe hain
to kya ab do sitare mil rahe hain
bhanwar ki justuju thi aur hum ko
kinare hi kinare mil rahe hain
to phir hum kyon nahin mil pa rahe dost
sitare to hamare mil rahe hain
yahin se aag ke sho'le uThenge
jahan par do sharare mil rahe hain
samundar-burd ho jaega sab kuchh
kinare se kinare mil rahe hain
milan ki aas mein baiThe the 'arif'
judai ke ishaare mil rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.