adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle
adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
adū-e-dīn-o-īmāñ dushman-e-amn-o-amāñ nikle
tire paikāñ baḌe jābir baḌe nā-mehrbāñ nikle
adāoñ ne lubhāyā dī nigāh-e-nāz ne dāvat
magar alfāz dil-shikanī meñ merī kāmrāñ nikle
mukar lo ishq se lekin sar-e-mahshar na kahnā kuchh
vahāñ par kaun jaane koī apnā rāz-dāñ nikle
tumhārī bazm hai rutbe meñ jannat se bhī bālā-tar
yahāñ piirī meñ aa.e ham magar ho kar javāñ nikle
baḌā charchā hai koh-e-tūr kā vādī-e-aiman kā
bahut aġhlab hai vo dar-parda merī dāstāñ nikle
bayābāñ meñ chaman meñ dasht meñ yā koh-e-vīrāñ meñ
ḳhudā jaane kahāñ pahuñche jo sū-e-āshiyāñ nikle
hamārī maut bhī ik mauj hai dariyā-e-hastī kī
bas ik ġhota lagānā hai yahāñ Duube vahāñ nikle
mo'attar kar ga.ī bū-e-vafā māhaul-e-ālam ko
mire har qatra-e-ḳhūñ se hazāroñ gulsitāñ nikle
chhupe haiñ saat pardoñ meñ ye sab kahne kī bāteñ haiñ
unheñ merī nigāhoñ ne jahāñ DhūñDā vahāñ nikle
ye vaqt-e-naz' kaisā kaisī takmīl-e-hayāt ai dil
ummīdeñ kab huiiñ puurī abhī armāñ kahāñ nikle
ḳhudā kā shukr be-dām-o-diram the mai-kade meñ ham
magar pīr-e-muġhāñ apne purāne mehrbāñ nikle
haqīqat ko jo dekhā ik na.ī duniyā nazar aa.ī
sitam goyā karam thā dushman-e-jāñ pāsbāñ nikle
mohabbat meñ luTe lekin bahut achchhe rahe 'rahbar'
gumāñ thā jin pe rahzan kā vo mīr-e-kārvāñ nikle
adu-e-din-o-iman dushman-e-amn-o-aman nikle
tere paikan baDe jabir baDe na-mehrban nikle
adaon ne lubhaya di nigah-e-naz ne dawat
magar alfaz dil-shikani mein meri kaamran nikle
mukar lo ishq se lekin sar-e-mahshar na kahna kuchh
wahan par kaun jaane koi apna raaz-dan nikle
tumhaari bazm hai rutbe mein jannat se bhi baala-tar
yahan piri mein aae hum magar ho kar jawan nikle
baDa charcha hai koh-e-tur ka wadi-e-aiman ka
bahut aghlab hai wo dar-parda meri dastan nikle
bayaban mein chaman mein dasht mein ya koh-e-viran mein
KHuda jaane kahan pahunche jo su-e-ashiyan nikle
hamari maut bhi ek mauj hai dariya-e-hasti ki
bas ek ghota lagana hai yahan Dube wahan nikle
mo'attar kar gai bu-e-wafa mahaul-e-alam ko
mere har qatra-e-KHun se hazaron gulsitan nikle
chhupe hain sat pardon mein ye sab kahne ki baaten hain
unhen meri nigahon ne jahan DhunDa wahan nikle
ye waqt-e-naz' kaisa kaisi takmil-e-hayat ai dil
ummiden kab huin puri abhi arman kahan nikle
KHuda ka shukr be-dam-o-diram the mai-kade mein hum
magar pir-e-mughan apne purane mehrban nikle
haqiqat ko jo dekha ek nai duniya nazar aai
sitam goya karam tha dushman-e-jaan pasban nikle
mohabbat mein luTe lekin bahut achchhe rahe 'rahbar'
guman tha jin pe rahzan ka wo mir-e-karwan nikle
- Book : Payam-e-rehber (Pg. 1)
- Author : Jitendr Mohan Sinha'rehber'
- Publication : Karanti OM Parkashan, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.