adu-e-KHira-sarab ho gaya baDa KHurranT
adu-e-KHira-sarab ho gaya baDa KHurranT
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
adū-e-ḳhīra-sarāb ho gayā baḌā ḳhurrāñT
yahī hai dil meñ ki deñ aaj us ko ham ik DaañT
safā-e-qalb hī se zeb-e-jāma-zebī hai
kahāñ se chust qabā aa ga.ī qabā meñ saañT
mile ho sub.h-dam ai yaar koī dam dam lo
tumhāre jaane meñ kyā dam mirā lagā.egā aañT
sipāh-e-qalb-shikan ban ga.iiñ saf-e-mizhgāñ
tum aise safdar-e-ġhāzī ho kaañT meñ hai chhāñT
tumhārā 'sāqī'-e-shaidā hai be-navā saa.il
zakāt-e-husn kā hissa faqīr ko do baañT
adu-e-KHira-sarab ho gaya baDa KHurranT
yahi hai dil mein ki den aaj us ko hum ek DanT
safa-e-qalb hi se zeb-e-jama-zebi hai
kahan se chust qaba aa gai qaba mein sanT
mile ho subh-dam ai yar koi dam dam lo
tumhaare jaane mein kya dam mera lagaega aanT
sipah-e-qalb-shikan ban gain saf-e-mizhgan
tum aise safdar-e-ghazi ho kanT mein hai chhanT
tumhaara 'saqi'-e-shaida hai be-nawa sail
zakat-e-husn ka hissa faqir ko do banT
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-66 p-63)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.