adu ka zikr nahin doston ka nam nahin
adū kā zikr nahīñ dostoñ kā naam nahīñ
zabāñ pe aaj koī harf-e-intiqām nahīñ
dar-o-darīcha ke dāġh-o-charāġh apnī jagah
mujhe jalā ke na guzrī to shaam shaam nahīñ
chalo Thahar nahīñ sakte guzar to sakte ho
kahīñ kahīñ se shikasta hai dil tamām nahīñ
jise pukārte phirte haiñ kū-ba-kū ham log
vo ek ahd-e-tamannā hai sirf naam nahīñ
ye ḳhāk-dān-e-ta'alluq hai pesh-o-pas meñ na jā
husūl-e-ātish-o-āb-o-havā mudām nahīñ
ka.ī bujhe hue sīnoñ ko aag hai darkār
zabāñ pe naam tumhārā barā.e-nām nahīñ
adu ka zikr nahin doston ka nam nahin
zaban pe aaj koi harf-e-intiqam nahin
dar-o-daricha ke dagh-o-charagh apni jagah
mujhe jala ke na guzri to sham sham nahin
chalo Thahar nahin sakte guzar to sakte ho
kahin kahin se shikasta hai dil tamam nahin
jise pukarte phirte hain ku-ba-ku hum log
wo ek ahd-e-tamanna hai sirf nam nahin
ye KHak-dan-e-ta'alluq hai pesh-o-pas mein na ja
husul-e-atish-o-ab-o-hawa mudam nahin
kai bujhe hue sinon ko aag hai darkar
zaban pe nam tumhaara barae-nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.