adu ke hath se main jam le kar pi nahin sakta
adū ke haath se maiñ jaam le kar pī nahīñ saktā
kisī kam-zarf kā ehsān le kar jī nahīñ saktā
kabhī jī chāhtā hai naam le kar zor se chīḳhūñ
na jaane naam kyoñ zālim kā phir le bhī nahīñ saktā
mire dil ne zamāne meñ kuchh itne zaḳhm khaa.e haiñ
masīhā bhī dil-e-sad-chāk ko ab sī nahīñ saktā
mirī tishna-labī par 'nūr' ye bhī tanz-e-sāqī hai
bhare haiñ har taraf jām-o-subū aur pī nahīñ saktā
adu ke hath se main jam le kar pi nahin sakta
kisi kam-zarf ka ehsan le kar ji nahin sakta
kabhi ji chahta hai nam le kar zor se chiKHun
na jaane nam kyon zalim ka phir le bhi nahin sakta
mere dil ne zamane mein kuchh itne zaKHm khae hain
masiha bhi dil-e-sad-chaak ko ab si nahin sakta
meri tishna-labi par 'nur' ye bhi tanz-e-saqi hai
bhare hain har taraf jam-o-subu aur pi nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.