adu ke kahne se mujhko zalil-o-KHwar kiya
adū ke kahne se mujh ko zalīl-o-ḳhvār kiyā
sazā ye us kī hai maiñ ne jo tum ko pyaar kiyā
na hogā dāvar-e-mahshar ke aage hashr meñ bhī
ki umr bhar usī kāfir ko maiñ ne pyaar kiyā
ham aur beach meñ aate haiñ un kī bātoñ ke
unhoñ ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā
batā to charḳh bhalā us se tujh ko kyā hāsil
kisī kā sheva-e-zātī jo iḳhtiyār kiyā
mazā yahī hai ki tarfain se hue be chīnī
mire taḌapne ne un ko bhī be-qarār kiyā
hamārī na.ash ko Thokar lagā ke us ne kahā
hamāre aane kā kyā ḳhuub intizār kiyā
burā kiyā jo kahā un se mudda.ā dil kā
ġhazab kiyā jo mohabbat ko āshkār kiyā
adu ke kahne se mujh ko zalil-o-KHwar kiya
saza ye us ki hai main ne jo tum ko pyar kiya
na hoga dawar-e-mahshar ke aage hashr mein bhi
ki umr bhar usi kafir ko main ne pyar kiya
hum aur beach mein aate hain un ki baaton ke
unhon ne wada kiya hum ne e'tibar kiya
bata to charKH bhala us se tujh ko kya hasil
kisi ka shewa-e-zati jo iKHtiyar kiya
maza yahi hai ki tarfain se hue be chini
mere taDapne ne un ko bhi be-qarar kiya
hamari nash ko Thokar laga ke us ne kaha
hamare aane ka kya KHub intizar kiya
bura kiya jo kaha un se muddaa dil ka
ghazab kiya jo mohabbat ko aashkar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.