adu ke pairon se kanTe nikalne wale
adū ke pairoñ se kāñTe nikālne vaale
kahāñ haiñ nekiyāñ dariyā meñ Dālne vaale
uchhālte haiñ vo ab pagḌiyāñ buzurgoñ kī
hatheliyoñ pe saroñ ko uchhālne vaale
ḳhudā tujhe bhī kahīñ apne dar se Taal na de
ai apne dar se savālī ko Tālne vaale
hameñ bhī mil ga.e kuchh dost dostoñ jaise
ham āstīñ meñ haiñ ab saañp pālne vaale
dikhā.ī deñge vo ab sang-reze chunte hue
samundaroñ kī tahoñ ko khañgālne vaale
vo jin ko lutf jaḌeñ kāTne meñ aatā hai
vo kab haiñ girte huoñ ko sambhālne vaale
adu ke pairon se kanTe nikalne wale
kahan hain nekiyan dariya mein Dalne wale
uchhaalte hain wo ab pagDiyan buzurgon ki
hatheliyon pe saron ko uchhaalne wale
KHuda tujhe bhi kahin apne dar se Tal na de
ai apne dar se sawali ko Talne wale
hamein bhi mil gae kuchh dost doston jaise
hum aastin mein hain ab sanp palne wale
dikhai denge wo ab sang-reze chunte hue
samundaron ki tahon ko khangalne wale
wo jin ko lutf jaDen kaTne mein aata hai
wo kab hain girte huon ko sambhaalne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.